Rahay gay un-hi un ka charcha rahay ga Paray khaak ho jayen jal janay walay
(Hada’iq-e-Bakhshish)
Is baar is qadar charaghan farmaiye, itnay sabz sabz parcham lehraiye or is qadar langar-e-Rasa’il chala’iye kay sabiqa saray records toot jayen.
Tum bhi kar kay un ka charcha apnay dil chamkao
Oonchay main ooncha Nabi ka jhanda ghar ghar main lehrao
Oonchay main ooncha Nabi ka jhanda ghar ghar main lehrao
(sarmay-e-bakhshish)
Aaiye! Niyat kartay hayn kay shara’i quyyoodat-o-Tanzimi pabandiyon kay sath khoob khoob Jashane-wiladat ki dhomayn machayen gay.
Yaad rahay! Her nayk amal main sawab-e-Aakhirat ki niyat hona zarori hay warna sawab nahin milay ga. Jashan-e-wiladat manany main bhi sawab kamanay ki niyat zarori hay sawab ki niyat kay liye amal ka shari’at kay mutabiq or zewar-e-ikhlaas say muzayyan hona shart hay.(Jashan-e-wiladat manany ki niyyatain risala “subh-e-baharan” main mulaheza farmaiye)
Yad rahay kay
“Madani phool tay honay kay ba’d us ka nifaz hi asal cheez hay.”
(Shora-o kabina kay madani mashwaray kay madani phool 22 ta 26 August2013)
“Madani phool baraye mah-e-Rabi-un-noor” kay madani mashwaray say qabl her satah ki zimmadar islami bahan apni matahat zimmadaran ko ye bata dain kay:
Madani mashwaray ka doraniya 2 ghantay 26minuts hoga.
Madani mashwaray main mukammal waqt shirkat ki jaye.
(behtar hay kay ye tarkeeb ma’mul walay madani mashwary main he bana li jaye)
No comments:
Post a Comment